Monday, 11 August 2014
Gogaji janam Katha- GOGAJI JANAM
जय श्री गुरु गोरख नाथ जी महाराज ॐ गुरु गोरक्ष नाथाय नमः
RAJASTHAN
me sthith ek hazaar warsh purv "DADREVA" nagri me ye katha ek satya
aur dharm ka pratik hai. Har prakar ki khushi aur sukh se bhare Raja JEWAR ke
rajya me praja bahot khush thi. Veer aur parakrami raja ke rajya me kami thi to
sirf ek bat ki......
Raja Jewar aur Rani Bachal ki god suni thi. ye prashna
dono ko sada sataya karta tha. is karan vash Rani Bachal kisi bhi tyohar ya
khushi ke samaroh me kahi jati nahi thi kyuki ye Sansar ke taane aa-sehniya
the. Is vichar ko lekar Raja Jewar har Prakar ka upay aur pooja vidhi kiya
karte the. Bhagwanji se prarthana karte the ki hamare darbar me bhi Jhula
Jhule, Rani Bachal ki god bhar jaye. Parantu vivah ke bad bahot samay bitne par
bhi hath me nirasha hi rehti thi.
Fir ek din ek jogi Dadrewa nagari me aaya. Har ghar se
ALAKH jaga kar bhiksha mangata hua Rani Bachal ke darbar pohoncha aur ALAKH
jagakar bhiksha mangi, jogi ki awaj sun kar rani Bachal ne apni baandi (daasi)
se jogi ke liye bhiksha lekar jane ko kaha. Rani ki aagnya sunkar baandi thal
saja kar jogike paas aayi aur jogi ko bhiksha dene hetu thali aage badhai; jogi
ne wo bhiksha na lete hue baandi se kaha hume Maharani ke hath se hi bhiksha
leni hai jao, unhe bulwao. ye sunkar baandi Rani Bachal ke kaksh aai or unko
jogi ka hatt sunaya. Rani Bachal Dukhi to thi parantu dayalu bhi thi baandi ki
baat sunkar wo swayam wah thal lekar jogi ko bhiksha dene hetu dwar pe aayi aur
bhiksha jogi ko diye. Wo jogi ne Maharani ko dukhi dekh kar maharani se unke
dukh ka karan puchcha tab rani bachalne apni suni god ka vrutant jogi ko sunaya
aur unse prarthna ki ke "aap hume koi upay bataye jisse Humare mahel me
bhi khushiyo ki kilkariya goonje.
Rani Bachal ki vyatha dekh or unki vinanti sunkar jogi
(Kanhaiya) ne kaha "Maai, tumhara prashnn Yogi-Raaj Sacchidanand { Shree
GURU GORAKSHNATH JI } hi purna kar sakte hai, aap unki seva Bhakti Bhav se
Aarambh kijiye " Mata Bachalne jogi se pucha "jati GURU GORAKSHNATH
JI kaha milege ? jaha jakar hum unki seva kar sake" jogi (Kanhaiyaji) ne
Rani Bachal se kaha "apne hi mahel me Guruji ki pratima banakar unki pooja
seva aur tap kijiye lekin dhyan rahe ye seva bhot kathin karni hogi" itna
kehkar Jogi bhiksha lekar chale gaye.
Rani bachal ne jogi ki baat sunkar apne pati Raja Jewar ji
ko ye vrutant sunaya, rani ka kathan sunkar Raja Jewar ne apne Nagar me Pani ke
kuve banaye aane jane vale Yatriyon ke Vishram hetu Dharmshala Banvai Gauvo ki
raksha, pedh paudhe lagvaye, Bhagwan Shivji ka Mandir banvaya aur suvarna
(Soneki) GURU GORAKSHANATH JI ki pratima banakar Rani Bachal ko saop di.
Rani Bachal ne apne mahel me asan banakar GURU
GORAKSHANATH JI ki pratima ki dhup, deep, phul, paan adi se Guruji ki
Pooja-Tapp ka aarambh kia, Din bite, Mahine bite, Varsh bitgaye, Mata Bachal ki
seva kathin tappassiya ke saat aur kathin se kathin bangai, prati varsh ke char
mahine Dhoop, char mahine Varsha char mahine Jadeke jisse mata bachalka sharir
galne laga bina anna or jall ke tapasya aur kathin banti jarahi thi. Usi Samay
GURU GORAKSHNATH JI jo KAPOTAK PARWAT (Nepal) me tapasya me leen the, Bhagwan
Shivji ne dhyan sanket dwara GURU GORAKSHNATH JI ji ko bataya ki "apko ek
Maai ki samasya ka samadha karna hai" Bhagwan Shiv ji ke aadesh se GURU
GORAKSHNATH JI ne antar dhyan hokar dekha, Rajasthan me ek Dadreva namak
Nagrime Rani Bachal Ghor tappassiya me leen hai aur use putra prapti ka vardan
chahiye.
Bhagwan Shiv ji ka aadesh lekar jati GURU GORAKSHANATH ji
Dadreva Nagri ki or apne sabhi shishyo sahit prasthan kar liye Nav-Natho me
Shresht GURU GORAKSHNATH JI aapne shishyo sahit Kopotak Parwat se (Nepal) se
Yatra karte huye gaon gaon me apna chamatkar bataya jaise ke "Bangal me
pohochkar "Ladiya Luna" naamak ek badi Mayavi jadugar thi jiske Kale
Jaduka naash kar unko apni shishyaa banakar aage ki or chalpade aur hastinapur
me pohoch gaye yaha Panch Pandav ki Smrutiya or unki praja ko Aashirwad Pradan
kar aage ki or Prasthan kar liye.
Is taraha dharm ki pataka lekar aandh-shraddha ka nash
karke logoko Bhagwan aur Bhakti ki Diksha dekar Guru Maharaj apne Chaudaso
(1400) shishyo sahit Rajasthan pohoch gaye us wakt Bharat varsh me Mugal,
Pathano ka raaj tha Dilli ke takt par (Rajshihasan) par Navrangshah raja ka
raaj tha Hindu Dharm ka gathan karte karte logoke maan ka ‘Bhay’ Daar samapt
kar GURU GORAKSHANATH JI Rajasthan pohoche. yaha par Dadreva nagri basi hui thi
jise Raja Umar aur Rani Fulade ne basaya tha inke putra Raja Jevar aur
Putravadhu Rani Bachal yaha Raaj kiya karte the jinhe santan sukh na Prapt hone
ke karan dono atyanta dukhi the mata Bachal ko santan prapti ka Vardan dene
hetu aur Dharm ki Raksha karne GURU GORAKSHANATH JI ne apne chudaso 1400
shishyo sahit Navlakha namak Baag me dhuni rama kar apna aasan lagaya aur apne
priya shishyy "Avghadnath" ko us sthan ki sari dekh rekh ka karya
soap diya aur kaha ki Nagri se bhiksha lakar sab ke khan pan ka dhyan do.
Dadrava nagri ke Navlakha Baag me Guruji ke aagaman se woh
Baag khil-khila utha, Baag ki Sundarta manmohak thi charo taraf hariyali thi,
pushpo or mithe falo se lade hue pedh poudhe, or unpar cheh-chahate hue panchi,
Koyal ki kuhu-kuhu Papahe ki pehu-pehu Rang-birange ful or unki attyant madhur
sugandh se aisa pratit hota tha ki swayam Maa Prakriti ka waha waas ho. Baag me
achanak ye badlav dekhkar Sari Nagri ke log khushi se jhoom uthe man me aanand
manaane lage ye baat sari nagri me ek Utsav ke saman fail gayi.
Ye Attyant Sukhad Samachar Baag ke Mali or Malan ne jaakar
Mehel me Rani Bachal ko sunai or kaha ye Chamatkar ek Mahan Jogi ke karan hua
hai unke aagman se Naulakha Baag hara bhara ho gaya hai, sare kuve me Jal
(Pani) bhar gaya hai, unke shishya apni dhooni lagakar dhyan me baithe hai, or
Panch hath jitne oonche aasan par Shree Yogi Guru Gorakshnath ji beithe hai ye
samachar sunkar Rani Bachal Fuli na samai or apni Manokamna purn hone ka Samay
samip aa gaya hai manme aisa suvichar kar rahi thi usi kshan Mahel ke bahar se
AALAKH NIRANJAN ka nara sunai pada jo GURU GORAKSHNATH JI ke shishya shree
Aaughad nathji the, alakh sunkar Mata Bachal Mahel se bahar aai, Aaughad nathji
ko Pranam kar unke aane ka karan pucha, Aaughad nathji ne aapne Guru Ji ka
aadesh Rani bachal ko sunaya ke, " Kheer Khand ka Bhojan Banakar Panch
Pakwan Banakar Guruji ke sewa me aaiiye our apni Iccha Purn Ka Vardan Paiiyee
Mataji.
ye sunkar Mata ( Rani Bachal) jhatse GURU GORAKSHNATH JI
ke Darshan hetu shree Aughad nathji ke sath Naulakha Baag Pohach gai, Samne
GURU GORAKSHNATH JI ne antar dhyan se Rani Bachal ko aata dekh aapne nayan khol
kar Rani Bachal ki our dekha, or Rani Bachal ne Guruji ko Pranam kar aashish
liya unke charan dho kar naman kiya, Aashirwad se bhara hath (sidha) hath
uthakar Guru Gorakshnathji ne Kaha, "SAUBHAGYAWATI BHAVA" ye sunkar
Rani Bachal Guruji ke charno me baith gayi.
Rani Bachal ne Guru Charno me baithkar Unse kaha "Hey
Param Yogi Guruji sara sukh to mill gaya hai hume parantu santan hin rehne k
karan hum attyant dukhi he mere pati Maharaja Jewar bhi dukhi or aaprasanna
rehte hai, Raajya me kisi vishaye me unka mann nahi lagta, Nagri (Rajjye) ka
Vanshaj na Hone ke karan logome aanek baate hua karti hai ye sansar hume Baanjh
kyu kehta he ? is mere Prashna ko aap Purnn kijiye hum apna pura jeevan aapki
sewa me vyatit kar denge" aisi binti kar apna sara haal bataya.
Rani Bachal ka Kathan sunne ke paschat Sacchidanand Guru
Gorakshnath ji ne kaha " Hey mata aap nishchint hokar Ghar jaye or kal
Pratah yaha aakar apni seva ka FAL le jaiye". Guruji Ka wachan sunkar Rani
Bachal apne Mahel me aai oor Aanandit mann se wo Us Shubh Ghadi ke liye Utsaah
se Vyakul Hone lagi
Rani Bachal Or puri Dadreva Nagri me Mano Khushi ka ek
Maha Sagar Umad aaya ho, parantu Rani Bachal ko is baat ka gyaat nahi tha ki
aab bhi unki kuch Pariksha shesh hai.
Rani Bachal ki ek choti Behen thi jinka naam Kachal tha,
Mata Bachal or Kachal me Mukh, Vaani, Haav-Bhav, or aanye kuch guno me ( Behen
hone ka karan ) un dono me Samantaye thi, agar dono ek saman aalankrit ho to ye
darshana kathin tha ke koun Rani Bachal hai or Koun kachal. Kachal bhi santan
hin thi uske mann me ek ku-vichar aaya ke "Bachal ki god bhar rahi hai or
Meri god khali" is baat se unke man me ek Dwesh paida hua or usi karan
vash usne Apni hi Badi behen ke sath Chhal karne ka nischay kia, Rani Bachal ke
Saman hone ke karan usne mann me ye shadyantra rachne ka nischay kiya, wo ye ke
"isse pehle ke Rani Bachal jaye me khud hi Guru ji ke pas jaungi" is
chal ka parinaam kachal ko gyaat na tha ke aisa karne se uske nasib or jholi me
b sirf Chall hi aayenga,
Kachal, Rani Bachal ke vastra churakar use dharan kar GURU
GORAKSHNATH JI se fal prapti ki laalsa se Navlakha Baag chali aai or Guruji se
kaha ki "Guruji, hum aa gaye hume tapassya ka fall do'. Param Gyani Trikal
Darshi GURU GORAKSHNATH JI se kuch na chupa tha, Kachal ka aisa chal dekhkar
use waisa hi fal dene ka nischay kia or unse pucha "maai, aap to kal
pratah aane wali thi fir aaj hi kaise aa gayi ?" tab Kachal ne kaha
"Guruji mann me aanand ke karan samay ka dhyan na raha islye kal samaj kar
aaj hi aai hu. kachal ki aisi vaani sunkar Guruji ne apni jholi se do (2) JAV
ke dane nikal kar kachal ki jholi me daal diye, kachal pranam kar waha se
shigra hi chali gayi, or GURU GORAKSHNATH JI ka waha se prasthan hua, or unke
piche piche sare shishya b ek ek kar jane lage.
dusre din Rani Bachal snaan, vastra adi dharan kar aanand
se vyakul apni sahiliyo sahit Navlakha baag me aai,parantu vaha ka sara drushya
badla hua dikhai diya, GURU GORAKSHNATH JI aur Kuch shishya ja cukethe ,sari
dhuniya bujhi hui thi ye dekh kar ek shishya se Rani Bachal ne pucha Guruji kaha
hain,? hame aaj yaha fal dene hetu bulaya tha.
Us shishya ne rani Bachal se kaha Guruji to aage chale
gaye, ye sunker Rani Bachal daudti aur Guruji ko dhundti anthtaha GURU
GORAKSHNATH JI ke samip pohanch gai or unke sanmukh aakar unke charnome gir
padi or dukhi mann or nirash ho Guruji se puchha "hey Guruji hame fal
pradan kiye bina aap kaise ja rahe hai ? kya Nathoki seva jhuti hoti hai? Tab
GURU GORAKSHNATH JI ne kaha Mata humne apko do fal dekar apna karya pura keya
or prasthan kar liye ,tab mata bachal ne kaha "Guruji aapse aavashya hi
koi bhul hui hai hame apne koi fal nahi diya isliye hum apko khojte hue yaha
tak aaye hai .
Rani bachal ka ye kathan sunker Guruji ne Rani Bachal ko
Kachal ke chhal se avgat karaya or kaha ki "Natho ki seva jhuti nahi hoti
or aapki seva ka fal apko avashya milenga ye katahn kar apne shishy ko vahi
rukneka aadesh deker ve Teeno lok me Vardan Purn karne k Karya hetu nikal pade
or ek Adbhut Ghatna Ghatith kar Rani Bachal ki tappassya ka fal Swarup
(Padamnabh) rupi (Gugal) lakar mata Bachal ki god me dal diye,BOLO SHREE
PARBRAMHA SACCHIDANAND SATTGURU MAHAYOGI GORAKSHNATH JI KI JAYYYYYY...
Mata Bachal Daya ka sagar thi or unse kisi ka dukh na
dekha jata tha ve swayam bhuki rehkar bhi sabki bhuk shant karti, unki Daya or
mamta ka hum jitna kathan kare utna kam hai Aisi Mata BACHAL ko hum koti koti
vandan karte hai.
Aisi hi Mahanta ka sabse Bada udharan hai ke Mata Bachal
jab Guruji se vardan prapt kar apne Mahel me aai or mann me vichar kia ki Mere
saman mahel ki ‘4’ char Maatao ki god bhi suni hai, to kyo na ye fal mill baat
kar khaye jisse iska labh hum sab Matao ko mile Dharm or Satya ki Dhwaja
humesha lehrate rahengi, ye soch kar unhone us (Gugal) fal ke panch hisse kar
pehla hissa mahel ke Bramhani ko diya jisse "NARSINGH JI" ka janam
hua or dusra fal Charmakar ko diya, (Luna Chamar) jisse "BHAJJU JI"
ka Janam Hua teesra fal Mahel ki Mehtrani ko diya, Jisse "RATANSINGH
JI" ka janam hua, choutha fal Raja Jevar ki Ghodi jinka naam Leelee Ghodi
tha unko diya jisse "LEELA" ghode ka janam hua, aur Panchva fal Mata
Bachal ne Swayam khaya or Unko BHAGWAN SHREE JAHARVEER GOGAJI janme, or Kachal
ko un do JAV ke dano se do putra hue jinka naam "Arjan or Surjan" tha
JAV se janme in dono ko JAVDE bhi kaha gaya hai jo ki Adharmi the or samay aane
par Bhagwan shree Jaharveer ji ke hato hi unka Vaddh hua or isi Prakar Gugal se
Janme "PANCHO VEER" jinhone Satya Dharm or Adhikar ki ladai ladhi or
jeeti. Apne Aananye bhakto ke liye Bhagwan Shree Jaharveerji ne Leele sahit
Rajasthan me samadhi ley lee. Aaj bhi wo jagah Goga Mehdi naam se jaani or
Pooji jati hai. Us sthan ko Bagad Desh bhi kaha jata hai Goga Mehdi or Gorakh
Tila, ye dono sthan par har varsh Bhadav maas me Navmi ke avsar par Lakho
Bhakto ki upastithi me Vishal Mele ka Aayojan hota hai Ye mela Hindustan ka
sabse bada Mela mana jata hai,is mele ko tyohar saman manaya jata hai,jo
samadhi sthal hai waha aaneko Shehero, gav, jilho se Bhagwan Gogaji ke Nishan
aate hai. Mele ka Drushya to dekhte hi banta hai Sabhi bhakt Gagaji Samadhi MEHDI
ke darshan kar Chadhava chadhate hai, Kheer-Puri ka Bhoog lagate hai, Laddu
Batase aadi Prasad ka Bhog lagakar apne bandhu Bandhavo ke sath Prasad grahan
kar apne apne Ghar sthan par aanand Bhav se laut aate hai .
Aise Chamatkari, Avtari, Leeladhari, Naago ke raja BHAGWAN
SHREE JAHARVEER GOGA RANA JI KO HUMARA KOTI KOTI PRANAM HAI. Jinka naam maatra
lene se Jeevan safal ho jata hai. Jeevan me ek bar Goga Mehdi ke Darshan karne
se char dham ka Punya prapt hota hai or Goga bhakto ko to mano Swarg mil jata
hai
Subscribe to:
Posts (Atom)