Monday 11 August 2014

Gogaji Maharaj

सभी   भक्तो  से अनुरोध है की अगर आपको हमारी कोशिश पसंद आई तो हमे ईमेल के जरिये सुचना दे ताकि हम और भी सुधार कर सके .............धन्यवाद
दलीप कुमार दानोदिया
ईमेल - singerdaleep.danodiya@gmail.com

Gogaji janam Katha- GOGAJI JANAM

 जय श्री गुरु गोरख नाथ जी महाराज  ॐ गुरु गोरक्ष नाथाय नमः
 
RAJASTHAN   me sthith ek hazaar warsh purv "DADREVA" nagri me ye katha ek satya aur dharm ka pratik hai. Har prakar ki khushi aur sukh se bhare Raja JEWAR ke rajya me praja bahot khush thi. Veer aur parakrami raja ke rajya me kami thi to sirf ek bat ki......
Raja Jewar aur Rani Bachal ki god suni thi. ye prashna dono ko sada sataya karta tha. is karan vash Rani Bachal kisi bhi tyohar ya khushi ke samaroh me kahi jati nahi thi kyuki ye Sansar ke taane aa-sehniya the. Is vichar ko lekar Raja Jewar har Prakar ka upay aur pooja vidhi kiya karte the. Bhagwanji se prarthana karte the ki hamare darbar me bhi Jhula Jhule, Rani Bachal ki god bhar jaye. Parantu vivah ke bad bahot samay bitne par bhi hath me nirasha hi rehti thi.
Fir ek din ek jogi Dadrewa nagari me aaya. Har ghar se ALAKH jaga kar bhiksha mangata hua Rani Bachal ke darbar pohoncha aur ALAKH jagakar bhiksha mangi, jogi ki awaj sun kar rani Bachal ne apni baandi (daasi) se jogi ke liye bhiksha lekar jane ko kaha. Rani ki aagnya sunkar baandi thal saja kar jogike paas aayi aur jogi ko bhiksha dene hetu thali aage badhai; jogi ne wo bhiksha na lete hue baandi se kaha hume Maharani ke hath se hi bhiksha leni hai jao, unhe bulwao. ye sunkar baandi Rani Bachal ke kaksh aai or unko jogi ka hatt sunaya. Rani Bachal Dukhi to thi parantu dayalu bhi thi baandi ki baat sunkar wo swayam wah thal lekar jogi ko bhiksha dene hetu dwar pe aayi aur bhiksha jogi ko diye. Wo jogi ne Maharani ko dukhi dekh kar maharani se unke dukh ka karan puchcha tab rani bachalne apni suni god ka vrutant jogi ko sunaya aur unse prarthna ki ke "aap hume koi upay bataye jisse Humare mahel me bhi khushiyo ki kilkariya goonje.
Rani Bachal ki vyatha dekh or unki vinanti sunkar jogi (Kanhaiya) ne kaha "Maai, tumhara prashnn Yogi-Raaj Sacchidanand { Shree GURU GORAKSHNATH JI } hi purna kar sakte hai, aap unki seva Bhakti Bhav se Aarambh kijiye " Mata Bachalne jogi se pucha "jati GURU GORAKSHNATH JI kaha milege ? jaha jakar hum unki seva kar sake" jogi (Kanhaiyaji) ne Rani Bachal se kaha "apne hi mahel me Guruji ki pratima banakar unki pooja seva aur tap kijiye lekin dhyan rahe ye seva bhot kathin karni hogi" itna kehkar Jogi bhiksha lekar chale gaye.
Rani bachal ne jogi ki baat sunkar apne pati Raja Jewar ji ko ye vrutant sunaya, rani ka kathan sunkar Raja Jewar ne apne Nagar me Pani ke kuve banaye aane jane vale Yatriyon ke Vishram hetu Dharmshala Banvai Gauvo ki raksha, pedh paudhe lagvaye, Bhagwan Shivji ka Mandir banvaya aur suvarna (Soneki) GURU GORAKSHANATH JI ki pratima banakar Rani Bachal ko saop di.
Rani Bachal ne apne mahel me asan banakar GURU GORAKSHANATH JI ki pratima ki dhup, deep, phul, paan adi se Guruji ki Pooja-Tapp ka aarambh kia, Din bite, Mahine bite, Varsh bitgaye, Mata Bachal ki seva kathin tappassiya ke saat aur kathin se kathin bangai, prati varsh ke char mahine Dhoop, char mahine Varsha char mahine Jadeke jisse mata bachalka sharir galne laga bina anna or jall ke tapasya aur kathin banti jarahi thi. Usi Samay GURU GORAKSHNATH JI jo KAPOTAK PARWAT (Nepal) me tapasya me leen the, Bhagwan Shivji ne dhyan sanket dwara GURU GORAKSHNATH JI ji ko bataya ki "apko ek Maai ki samasya ka samadha karna hai" Bhagwan Shiv ji ke aadesh se GURU GORAKSHNATH JI ne antar dhyan hokar dekha, Rajasthan me ek Dadreva namak Nagrime Rani Bachal Ghor tappassiya me leen hai aur use putra prapti ka vardan chahiye.
Bhagwan Shiv ji ka aadesh lekar jati GURU GORAKSHANATH ji Dadreva Nagri ki or apne sabhi shishyo sahit prasthan kar liye Nav-Natho me Shresht GURU GORAKSHNATH JI aapne shishyo sahit Kopotak Parwat se (Nepal) se Yatra karte huye gaon gaon me apna chamatkar bataya jaise ke "Bangal me pohochkar "Ladiya Luna" naamak ek badi Mayavi jadugar thi jiske Kale Jaduka naash kar unko apni shishyaa banakar aage ki or chalpade aur hastinapur me pohoch gaye yaha Panch Pandav ki Smrutiya or unki praja ko Aashirwad Pradan kar aage ki or Prasthan kar liye.
Is taraha dharm ki pataka lekar aandh-shraddha ka nash karke logoko Bhagwan aur Bhakti ki Diksha dekar Guru Maharaj apne Chaudaso (1400) shishyo sahit Rajasthan pohoch gaye us wakt Bharat varsh me Mugal, Pathano ka raaj tha Dilli ke takt par (Rajshihasan) par Navrangshah raja ka raaj tha Hindu Dharm ka gathan karte karte logoke maan ka ‘Bhay’ Daar samapt kar GURU GORAKSHANATH JI Rajasthan pohoche. yaha par Dadreva nagri basi hui thi jise Raja Umar aur Rani Fulade ne basaya tha inke putra Raja Jevar aur Putravadhu Rani Bachal yaha Raaj kiya karte the jinhe santan sukh na Prapt hone ke karan dono atyanta dukhi the mata Bachal ko santan prapti ka Vardan dene hetu aur Dharm ki Raksha karne GURU GORAKSHANATH JI ne apne chudaso 1400 shishyo sahit Navlakha namak Baag me dhuni rama kar apna aasan lagaya aur apne priya shishyy "Avghadnath" ko us sthan ki sari dekh rekh ka karya soap diya aur kaha ki Nagri se bhiksha lakar sab ke khan pan ka dhyan do.
Dadrava nagri ke Navlakha Baag me Guruji ke aagaman se woh Baag khil-khila utha, Baag ki Sundarta manmohak thi charo taraf hariyali thi, pushpo or mithe falo se lade hue pedh poudhe, or unpar cheh-chahate hue panchi, Koyal ki kuhu-kuhu Papahe ki pehu-pehu Rang-birange ful or unki attyant madhur sugandh se aisa pratit hota tha ki swayam Maa Prakriti ka waha waas ho. Baag me achanak ye badlav dekhkar Sari Nagri ke log khushi se jhoom uthe man me aanand manaane lage ye baat sari nagri me ek Utsav ke saman fail gayi.
Ye Attyant Sukhad Samachar Baag ke Mali or Malan ne jaakar Mehel me Rani Bachal ko sunai or kaha ye Chamatkar ek Mahan Jogi ke karan hua hai unke aagman se Naulakha Baag hara bhara ho gaya hai, sare kuve me Jal (Pani) bhar gaya hai, unke shishya apni dhooni lagakar dhyan me baithe hai, or Panch hath jitne oonche aasan par Shree Yogi Guru Gorakshnath ji beithe hai ye samachar sunkar Rani Bachal Fuli na samai or apni Manokamna purn hone ka Samay samip aa gaya hai manme aisa suvichar kar rahi thi usi kshan Mahel ke bahar se AALAKH NIRANJAN ka nara sunai pada jo GURU GORAKSHNATH JI ke shishya shree Aaughad nathji the, alakh sunkar Mata Bachal Mahel se bahar aai, Aaughad nathji ko Pranam kar unke aane ka karan pucha, Aaughad nathji ne aapne Guru Ji ka aadesh Rani bachal ko sunaya ke, " Kheer Khand ka Bhojan Banakar Panch Pakwan Banakar Guruji ke sewa me aaiiye our apni Iccha Purn Ka Vardan Paiiyee Mataji.
ye sunkar Mata ( Rani Bachal) jhatse GURU GORAKSHNATH JI ke Darshan hetu shree Aughad nathji ke sath Naulakha Baag Pohach gai, Samne GURU GORAKSHNATH JI ne antar dhyan se Rani Bachal ko aata dekh aapne nayan khol kar Rani Bachal ki our dekha, or Rani Bachal ne Guruji ko Pranam kar aashish liya unke charan dho kar naman kiya, Aashirwad se bhara hath (sidha) hath uthakar Guru Gorakshnathji ne Kaha, "SAUBHAGYAWATI BHAVA" ye sunkar Rani Bachal Guruji ke charno me baith gayi.
Rani Bachal ne Guru Charno me baithkar Unse kaha "Hey Param Yogi Guruji sara sukh to mill gaya hai hume parantu santan hin rehne k karan hum attyant dukhi he mere pati Maharaja Jewar bhi dukhi or aaprasanna rehte hai, Raajya me kisi vishaye me unka mann nahi lagta, Nagri (Rajjye) ka Vanshaj na Hone ke karan logome aanek baate hua karti hai ye sansar hume Baanjh kyu kehta he ? is mere Prashna ko aap Purnn kijiye hum apna pura jeevan aapki sewa me vyatit kar denge" aisi binti kar apna sara haal bataya.
Rani Bachal ka Kathan sunne ke paschat Sacchidanand Guru Gorakshnath ji ne kaha " Hey mata aap nishchint hokar Ghar jaye or kal Pratah yaha aakar apni seva ka FAL le jaiye". Guruji Ka wachan sunkar Rani Bachal apne Mahel me aai oor Aanandit mann se wo Us Shubh Ghadi ke liye Utsaah se Vyakul Hone lagi
Rani Bachal Or puri Dadreva Nagri me Mano Khushi ka ek Maha Sagar Umad aaya ho, parantu Rani Bachal ko is baat ka gyaat nahi tha ki aab bhi unki kuch Pariksha shesh hai.
Rani Bachal ki ek choti Behen thi jinka naam Kachal tha, Mata Bachal or Kachal me Mukh, Vaani, Haav-Bhav, or aanye kuch guno me ( Behen hone ka karan ) un dono me Samantaye thi, agar dono ek saman aalankrit ho to ye darshana kathin tha ke koun Rani Bachal hai or Koun kachal. Kachal bhi santan hin thi uske mann me ek ku-vichar aaya ke "Bachal ki god bhar rahi hai or Meri god khali" is baat se unke man me ek Dwesh paida hua or usi karan vash usne Apni hi Badi behen ke sath Chhal karne ka nischay kia, Rani Bachal ke Saman hone ke karan usne mann me ye shadyantra rachne ka nischay kiya, wo ye ke "isse pehle ke Rani Bachal jaye me khud hi Guru ji ke pas jaungi" is chal ka parinaam kachal ko gyaat na tha ke aisa karne se uske nasib or jholi me b sirf Chall hi aayenga,
Kachal, Rani Bachal ke vastra churakar use dharan kar GURU GORAKSHNATH JI se fal prapti ki laalsa se Navlakha Baag chali aai or Guruji se kaha ki "Guruji, hum aa gaye hume tapassya ka fall do'. Param Gyani Trikal Darshi GURU GORAKSHNATH JI se kuch na chupa tha, Kachal ka aisa chal dekhkar use waisa hi fal dene ka nischay kia or unse pucha "maai, aap to kal pratah aane wali thi fir aaj hi kaise aa gayi ?" tab Kachal ne kaha "Guruji mann me aanand ke karan samay ka dhyan na raha islye kal samaj kar aaj hi aai hu. kachal ki aisi vaani sunkar Guruji ne apni jholi se do (2) JAV ke dane nikal kar kachal ki jholi me daal diye, kachal pranam kar waha se shigra hi chali gayi, or GURU GORAKSHNATH JI ka waha se prasthan hua, or unke piche piche sare shishya b ek ek kar jane lage.
dusre din Rani Bachal snaan, vastra adi dharan kar aanand se vyakul apni sahiliyo sahit Navlakha baag me aai,parantu vaha ka sara drushya badla hua dikhai diya, GURU GORAKSHNATH JI aur Kuch shishya ja cukethe ,sari dhuniya bujhi hui thi ye dekh kar ek shishya se Rani Bachal ne pucha Guruji kaha hain,? hame aaj yaha fal dene hetu bulaya tha.
Us shishya ne rani Bachal se kaha Guruji to aage chale gaye, ye sunker Rani Bachal daudti aur Guruji ko dhundti anthtaha GURU GORAKSHNATH JI ke samip pohanch gai or unke sanmukh aakar unke charnome gir padi or dukhi mann or nirash ho Guruji se puchha "hey Guruji hame fal pradan kiye bina aap kaise ja rahe hai ? kya Nathoki seva jhuti hoti hai? Tab GURU GORAKSHNATH JI ne kaha Mata humne apko do fal dekar apna karya pura keya or prasthan kar liye ,tab mata bachal ne kaha "Guruji aapse aavashya hi koi bhul hui hai hame apne koi fal nahi diya isliye hum apko khojte hue yaha tak aaye hai .
Rani bachal ka ye kathan sunker Guruji ne Rani Bachal ko Kachal ke chhal se avgat karaya or kaha ki "Natho ki seva jhuti nahi hoti or aapki seva ka fal apko avashya milenga ye katahn kar apne shishy ko vahi rukneka aadesh deker ve Teeno lok me Vardan Purn karne k Karya hetu nikal pade or ek Adbhut Ghatna Ghatith kar Rani Bachal ki tappassya ka fal Swarup (Padamnabh) rupi (Gugal) lakar mata Bachal ki god me dal diye,BOLO SHREE PARBRAMHA SACCHIDANAND SATTGURU MAHAYOGI GORAKSHNATH JI KI JAYYYYYY...
Mata Bachal Daya ka sagar thi or unse kisi ka dukh na dekha jata tha ve swayam bhuki rehkar bhi sabki bhuk shant karti, unki Daya or mamta ka hum jitna kathan kare utna kam hai Aisi Mata BACHAL ko hum koti koti vandan karte hai.
Aisi hi Mahanta ka sabse Bada udharan hai ke Mata Bachal jab Guruji se vardan prapt kar apne Mahel me aai or mann me vichar kia ki Mere saman mahel ki ‘4’ char Maatao ki god bhi suni hai, to kyo na ye fal mill baat kar khaye jisse iska labh hum sab Matao ko mile Dharm or Satya ki Dhwaja humesha lehrate rahengi, ye soch kar unhone us (Gugal) fal ke panch hisse kar pehla hissa mahel ke Bramhani ko diya jisse "NARSINGH JI" ka janam hua or dusra fal Charmakar ko diya, (Luna Chamar) jisse "BHAJJU JI" ka Janam Hua teesra fal Mahel ki Mehtrani ko diya, Jisse "RATANSINGH JI" ka janam hua, choutha fal Raja Jevar ki Ghodi jinka naam Leelee Ghodi tha unko diya jisse "LEELA" ghode ka janam hua, aur Panchva fal Mata Bachal ne Swayam khaya or Unko BHAGWAN SHREE JAHARVEER GOGAJI janme, or Kachal ko un do JAV ke dano se do putra hue jinka naam "Arjan or Surjan" tha JAV se janme in dono ko JAVDE bhi kaha gaya hai jo ki Adharmi the or samay aane par Bhagwan shree Jaharveer ji ke hato hi unka Vaddh hua or isi Prakar Gugal se Janme "PANCHO VEER" jinhone Satya Dharm or Adhikar ki ladai ladhi or jeeti. Apne Aananye bhakto ke liye Bhagwan Shree Jaharveerji ne Leele sahit Rajasthan me samadhi ley lee. Aaj bhi wo jagah Goga Mehdi naam se jaani or Pooji jati hai. Us sthan ko Bagad Desh bhi kaha jata hai Goga Mehdi or Gorakh Tila, ye dono sthan par har varsh Bhadav maas me Navmi ke avsar par Lakho Bhakto ki upastithi me Vishal Mele ka Aayojan hota hai Ye mela Hindustan ka sabse bada Mela mana jata hai,is mele ko tyohar saman manaya jata hai,jo samadhi sthal hai waha aaneko Shehero, gav, jilho se Bhagwan Gogaji ke Nishan aate hai. Mele ka Drushya to dekhte hi banta hai Sabhi bhakt Gagaji Samadhi MEHDI ke darshan kar Chadhava chadhate hai, Kheer-Puri ka Bhoog lagate hai, Laddu Batase aadi Prasad ka Bhog lagakar apne bandhu Bandhavo ke sath Prasad grahan kar apne apne Ghar sthan par aanand Bhav se laut aate hai .
Aise Chamatkari, Avtari, Leeladhari, Naago ke raja BHAGWAN SHREE JAHARVEER GOGA RANA JI KO HUMARA KOTI KOTI PRANAM HAI. Jinka naam maatra lene se Jeevan safal ho jata hai. Jeevan me ek bar Goga Mehdi ke Darshan karne se char dham ka Punya prapt hota hai or Goga bhakto ko to mano Swarg mil jata hai